WOW ! ThAnX a LoAd for ur support we have now reached 100+ likes... Now u can also get poems on cell just SMS @alfaaz to 92433 42000



ye dil sirf tujhe chahta hai

Pata nahi kyun ye dil sirf tujhe chahta hai,
janta nahi main bhi kyun bas tuje mangta hain!
har pal tujhe hi bas ye sochta hain,
ye nadan na jane kyun sirf tujhe janta hain!!
pata nhi kyun……!!!!!

Naam dikhata hain kahin jo tera,
nazre ye tahar jaati hain!
muskurati hain tu zara si,
Vadiyan mahak jaati hain!
Har Din har pal man ye khwab naye palta hain,
pata nhi kyun ye dil sirf tujhe chahte hai...

kehte hain log aksar,
hain kya pyar??
ek dhoka
ya chlawa
sunta hun sab, fir baithkar kahin sabr ka apne main pool bandhta hun,
pata nhi kyun fir bhi bas tuje chahta hun,
janta nhi main bhi kyun bas tuje mangta hun...

Raah na hain aasan,
Gaddhe kayin hain!
dagmagate hain kadam,
haath ye mera saath sirf ab tera mangta hain,
pata nhi kyun ye dil sirf tuje chahta hain,
jaanta nhi main bhi kyun bas tuje mangta hain...

- Anand Sharma

No comments: