PADCHAP SUNAI PADTE HAIN
(A sound of footsteps as introspection)
Padchap sunai padte hain,
Hain dabe hue-Kuch uthe hue!
Aur inme kuch sahme bhi,
Kahin-Kahin kadmo ke nishan dikhai dete hain !
Padchap sunai padte hain…!
Kabhi Jalakte hain panno pe,
Kabhi muude ban cha jate hain!
Kabhi badhne ki shiddat main aage ye khud se hi gir jatte hain,
Haan fir bhi badhte hue padchap…!
Kuch ne hain thame haath,
Kuch ne aage badhkar roka hain!
Shabd hi kafi hain kuch ke,
Kahin apno ne hi toka hain!
Fir bhi badhte hue padchap...!
Aisa nhi rok raha koi hain usko,
Kuch rahe hain dhakel-kuch badha rahe utsah ko!
Kuch kahte hain jakar jugnu tum daboch lo,
Kehte hain kuch hissa uska tum noch lo!!
Kya ye hoga sahi- fir sochta hain wo,
Prassan karna ho jo Dev ko- Pushp bali jaati to hain hi!
Chahte ho Dhoop-To aakar wo tare bujhati to hain hi,
Kashmkash badh gayi hain-sab dhundhla raha hain!
Lekin ne jaane fir bhi kyun…
padchap sunai padte hain…!
Badh raha hain aage,
Hain nidar,nirbhay-wo abhay var se!
To kya rokne tokne bhar se tham loge,
Hain Alag hain jo sabse!!
Haan “ANANAD” ab badhte hue padchap sunai padte hain…!
Bas ye Padchap sunai padte hain!
- Anand Sharma

No comments:
Post a Comment